5 security tips for android in hindi - TipsWebHindi

Breaking

TipsWebHindi

India No.1 Growing Hindi Tech Site.

Sunday 12 August 2018

5 security tips for android in hindi

5 security tips for android in hindi

Aaj kal ke daur me jyadatar logo ke paas android smartphone rahta chahe wo anpadh ho padha likha insaan, chote bachho se leker bare bujurg bhi smartphone use karte hai,

Aap me se kai log android phone ka istemaal se bahut saare important kaam ko karte hai jaise ki bank se Paise ka transfer, Online shopping, bill payment etc. Aur bhi bahut kuch.
 Android Phone ke aane se bahut se kaam aasan ho gaye hai jaise ki pahle aapko paise ka lenden karne ke liye bank jana parta tha par ab kuch hi step me aap turant paise ka transfer ek account se kisi dusre aadmi ke account me transfer kar sakte hai.
 Par kya aapko pata hai ki aapke  ek mistake se hacker aapke phone ko hack karke aapke phone se aapki bank details hack karke aapka kamaya hua saara paise ek minute me  gayab kar sakta hai aur aap uss time kuch nahi kar paaoge.

Iske liye jaruri hai ki phone chalate time aap kuch saavdhani barte.

Niche mai kuch Tips De Raha hu jiko follow karne se aapka mobile hack hone se bach sakta hai.
 Bas zaroori hai ki aap inn tips ko apne dimaag me sambhal ke rakhe.

No.1 Google virus Warning Popup!

Friend jab bhi aap koi website surf kar rahe ho uss time achanak aapke saamne ek google ka virus warning ka page khul jaaega jisme aapko bataya jaaega ki aapke phone me  itna virus hai isko thik karne ke liye aapko bas niche diye gaye button par click karne ke liye kahega jab aap us par click karoge usi time ho sakta hai ki aap hack ho jaao. Isilye aap uss button ko mat click karna. Uss page ko quit kar dena.esi me aapki bhalai hai.

No.2
Don't Click on spam Emails
Aapke phone me har roj jab aap email cheak karte honge to aap dekhte honge ki bahut saare spam email se inbox bhara hua rahta hai. Mai aapko bata du ki aap un spam email me koi bhi link diya gaya ho to uss link par kabhi bhulkar click mat karna kyoki hacker spam emails ke jariye bhi aapka data hack kar sakta hai.

No.3
Don't download app from other source!

Apne phone me koi bhi app playstore ke alawa kisi bhi browser se download mat kare. Agar aapko koi app download karna hai to playstore se hi kare!

No.4
Don't save your password in browser


Aap kabhi bhi apna net banking password browser  me save karke nahi rakhe.

No.5 Free Public WI-FI 

Friends kisi bheed bhar waali jagah me free wifi ka istemaal na kare kyoki hacker aapko free wifi dekar aapka saara data jaise ki photo,video,bank details etc. Hack kar sakta hai aur aapko pata bhi nahi chalega.


Note- Last me mai yahi kahunga ki uper di gayi saari jaankari ko jarur dhayan me rakhe kyoki saavdhani hati durghatna gahti.

To friends kaise lagi hamara ye post comment karke jaroor bataye aur agar aapke paas koi question ho to aap hame comment karke pooch sakte hai.
Thank You...

No comments:

Post a Comment